Friday 16 July 2010

ThumbNail ya BumbNail? jo aap marzi.....

Salam Doston !
Registry ki ek aur tip ke saath phir hazir hoon.
HKEY_LOCAL_MACHINE\Software\MicroSoft\Windows\Curr netVersion\
aur right (dahnay) side par right click kar ke ek new DWORD value banaye, jis ka name "ThumbNailSize" rakhe.
agar is name ki DWORD value pehlay say mojood ho to new value banane ki zaroorat nahin.
ab yeh baat note kar len kay XP aap ko jo default thumbnail size deti hay wo 32 (HexaDecimal) hai .
ab yeh aap ki marzi hay ki aap apnay computer main thumbnail size ko kam karna chahtay ho ya zyada.
Is Value ki kam se kam limit 20 (HexaDecimal) hai. [ ThumNailSize >= 20 ]
Is Value ki Zyda se Zyda limit 100 (HexaDecimal) hay. [ ThumbNaiSize <= 100 ]

AAp ko 20 to 100 tak wo value choose karni hai jo aap ko best suite karay.

No comments:

Post a Comment